Rafa-ul-Yadain Ki Mashhoor Hadith Ki Mukammal Tahqeeq

Hazrat Abu Humaed Sa’adi (RadiAllahu Anhu) ki hadith:

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ حَنْبَلٍ، حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ الضَّحَّاكُ بْنُ مَخْلَدٍ، ح وَحَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا يَحْيَى – وَهَذَا حَدِيثُ أَحْمَدَ – قَالَ: أَخْبَرَنَا عَبْدُ الْحَمِيدِ يَعْنِي ابْنَ جَعْفَرٍ، أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عَمْرِو بْنِ عَطَاءٍ، قَالَ: سَمِعْتُ أَبَا حُمَيْدٍ السَّاعِدِيَّ، فِي عَشَرَةٍ مِنْ أَصْحَابِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْهُمْ أَبُو قَتَادَةَ، قَالَ أَبُو حُمَيْدٍ: أَنَا أَعْلَمُكُمْ بِصَلَاةِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالُوا: فَلِمَ؟ فَوَاللَّهِ مَا كُنْتَ بِأَكْثَرِنَا لَهُ تَبَعًا وَلَا أَقْدَمِنَا لَهُ صُحْبَةً، قَالَ: بَلَى، قَالُوا: فَاعْرِضْ، قَالَ: ” كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا قَامَ إِلَى الصَّلَاةِ يَرْفَعُ يَدَيْهِ حَتَّى يُحَاذِيَ بِهِمَا مَنْكِبَيْهِ، ثُمَّ يُكَبِّرُ حَتَّى يَقِرَّ كُلُّ عَظْمٍ فِي مَوْضِعِهِ مُعْتَدِلًا، ثُمَّ يَقْرَأُ، ثُمَّ يُكَبِّرُ فَيَرْفَعُ يَدَيْهِ حَتَّى يُحَاذِيَ بِهِمَا مَنْكِبَيْهِ، ثُمَّ يَرْكَعُ وَيَضَعُ رَاحَتَيْهِ عَلَى رُكْبَتَيْهِ، ثُمَّ يَعْتَدِلُ فَلَا يَصُبُّ رَأْسَهُ وَلَا يُقْنِعُ، ثُمَّ يَرْفَعُ رَأْسَهُ، فَيَقُولُ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، ثُمَّ يَرْفَعُ يَدَيْهِ حَتَّى يُحَاذِيَ بِهِمَا مَنْكِبَيْهِ مُعْتَدِلًا، ثُمَّ يَقُولُ: اللَّهُ أَكْبَرُ ثُمَّ يَهْوِي إِلَى الْأَرْضِ فَيُجَافِي يَدَيْهِ عَنْ جَنْبَيْهِ، ثُمَّ يَرْفَعُ رَأْسَهُ وَيَثْنِي رِجْلَهُ الْيُسْرَى فَيَقْعُدُ عَلَيْهَا، وَيَفْتَحُ أَصَابِعَ رِجْلَيْهِ إِذَا سَجَدَ، وَيَسْجُدُ ثُمَّ يَقُولُ: اللَّهُ أَكْبَرُ، وَيَرْفَعُ رَأْسَهُ وَيَثْنِي رِجْلَهُ الْيُسْرَى فَيَقْعُدُ عَلَيْهَا حَتَّى يَرْجِعَ كُلُّ عَظْمٍ إِلَى مَوْضِعِهِ، ثُمَّ يَصْنَعُ فِي الْأُخْرَى مِثْلَ ذَلِكَ، ثُمَّ إِذَا قَامَ مِنَ الرَّكْعَتَيْنِ كَبَّرَ وَرَفَعَ يَدَيْهِ حَتَّى يُحَاذِيَ بِهِمَا مَنْكِبَيْهِ كَمَا كَبَّرَ عِنْدَ افْتِتَاحِ الصَّلَاةِ، ثُمَّ يَصْنَعُ ذَلِكَ فِي بَقِيَّةِ صَلَاتِهِ حَتَّى إِذَا كَانَتِ السَّجْدَةُ الَّتِي فِيهَا التَّسْلِيمُ أَخَّرَ رِجْلَهُ الْيُسْرَى وَقَعَدَ مُتَوَرِّكًا عَلَى شِقِّهِ الْأَيْسَرِ “، قَالُوا: صَدَقْتَ هَكَذَا كَانَ يُصَلِّي صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

Abu Humaed As-Sa’adi (Radiallahu Anhu) ne das (10) Sahaba kiraam jin mein Abu Qatadah b thy, Abu Humaed As-Sa’adi (RadiAllahu Anhu) farmate hai kii Main ne kaha: Main Tum sab say zeada Rasoolullah ﷺ ki nimaaz jaanta hoon, Unhoon ne kaha: Kaisay? Allah ki kasam! Aap ne na toh Hum say zeada Aap ﷺ ki itiba kiye hai aur na Hum say phelay Aap ﷺ k sahabi banay thy, Abu Humaed Sa’adi ne kaha: ji haan, Sahabiyoon ne kaha: Toh pesh karo? Abu Humaed As-Sa’adi ne kaha: Rasoolullah ﷺ jab nimaz k liye khaday hote toh kandoon tak rafa-ul-yadain karte phir takbeer kahte hatakii har hadi apne jagah atidaal say thahar jate, phir Aap ﷺ qiraat karte, phir takbeer kahte toh kandoo tak rafa-ul-yadain karte, phir ruku karte aur Apne haathayleya Apnay guthnay par rakhte, phir (Peet seede karne mein) atidaal karte, na toh sar zeada jukaate aur na uthaee rakhte phir sar uthate toh سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ kahte phir atidaal k saath rafa-ul-yadain karte, phir takbeer kahte, phir zameen ki taraf jukte, (Sajday mein) Apnay donu baazo Apne pahloo say door rakhte, phir Aap sar uthate aur baayaa pawo duhraa kar k is par baath jaate, Aap sajday mein Apne ungliyaa khule rakhte thy.

Phir Aap sajdah karte, phir takbeer kahte aur Sajday say sar uthate, Aap baayaa pawo duhra kar k is par baath jaate hataaki ki har hadee Apne jagah aate jate.

Phir dosri rakaat mein is tarha karte, phir jab Aap do (2) rakaateein padah kar khaday hote toh takbeer kahte aur kandoon tak rafa-ul-yadain karte jaisay kii Aap ne shuru nimaaz mein rafa-ul-yadain kiya tha phir baqi nimaz bhi is tarha padte haatakii jab Aap ka (aakhiri) sajdah hota jis mein salam pheera jata hai toh Aap towaruk karte hue baayaa pawoo (daayee taraf) peechay karte hue baayee pahloo par baath jate thy.

Tamam Sahaba ne kaha:

صَدَقْتَ هَكَذَا كَانَ يُصَلِّي صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

Aap ne sach kaha hai, Aap ﷺ is tarha nimaaz padte thy.

{Sunan Abi Dawud, Jild no.1, Safa no.194, Hadith no.730, Sheikh Albani aur Sheikh Zubair Ali Zai ne Sahih kaha hai, Sunan Tirmizi, Jild no.1, Safa no.395-396, Hadith no.304, Sahih Ibne Khuzaima, Jild no.1, Safa no.297-298, Hadith no.587-589, Sahih Ibne Hibban, Hadith no.1864, Juz Rafa-ul-Yadain Lil Bukhari, Hadith no.102}

Continue reading “Rafa-ul-Yadain Ki Mashhoor Hadith Ki Mukammal Tahqeeq”

Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 3)

10393544_349513558558181_9049535823609933847_n
3) Tesre qism ke log::::

Jinka kehna hai ke hamare baap daada se jo chale aa raha hai wahi sahi hai aur iski daleel unke paas ye hai ke hamare baap dada purane zamane ke hai lehaza wo ghalat nahi ho sakte.

Jawab:

Maa baap ki itaa’at aur farma bardari karna to be shak imaan ka ek hissa hai lekin dosto hame deen ke maamle me sirf quran aur hadees se daleel leni chahiye na ke baap dada ke tareeqo se, agar apke baap dada jo tareeqe par the ya hain wo quran hadees ke mutabiq hai to koi baat nahi lekin agar iske bar khilaaf hue to inke tareeqo par amal nahi karna chahiye. Continue reading “Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 3)”

Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 2)

10628370_348286332014237_2851944745614230853_n

2) Dusre qism ke log:

Jo kehte hain ke hamare imaam nahi karte the isiliye hum bhi nahi karte aur yu ye log chaar imaamo me se kisi ek imaam ke muqallid (follower) hone ka nizam (rule) batatey hain.

Jawab: is baat ka jawab dene se pehle main ek sawal karna chahunga unlogo se jo in chaar imaamo me se kisi ek imaam ko maan ne ka dastoor batatey hain.

Sawal : Kya chaar imaamo me se kisi ek ki pairwi karna sahi hai ?
Ya mere aur apke imaam, imaam ul ambiya Muhammad Sallallahu Alai Wasallam ki itaa’at karna sahi hai ?
Main nahi samajhta hoo ke koi bhi saheb e aqal saqs yahan in chaar imaamo me se kisi ek ka bhi naam lega, khair main apne jawab dene par aata hoon.
Continue reading “Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 2)”

Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 1)

10245544_347910338718503_1075515843294821878_n

As’salamualaikum Wa’rahmatullahi Wabarakatuhu.

Rafa al yadein ka inkaar karne walo me 4 qism ke log maujood hai jinke manghadat aqhwaal jawaab ke saat darj zael hain.

1) Pehle qism ke log :

Jo kekhte hain ke rafa al yadein pehle karna jaiz tha par ab nahi, wo iski wajeh ye batate hai ke nabi kareem Sallallalhu Alai Wasallam ke zamane me kuch log bagal me buth (statue) rakkar namaz padhte thay isi wajeh se ye hukum hua tha, lehaza ab ye hukum mansooq ho chuka hai.

2) Dusre qism ke log:
Jo kehte hain ke hamare imaam nahi karte the isiliye hum bhi nahi karte aur yu ye log chaar imaamo me se kisi ek imaam ke muqallid (follower) hone ka nizam (rule) batatey hain.
Continue reading “Rafa-ul-Yadain Ka Inkaar Karne Walon K Be-Buniyad Dalaa’el Aur Unka Khulasa (Part 1)”

Abdullah Ibn Abbas (radiallahu anhu) Say Mansoob Tafseer Aur Tark-Rafa-ul-Yadain:

Allah Talah Quran Pak main farmata hai kii: “Aur jo log apne nimazu main khoshoo ikhtiyaar karte hai”.{Mumenoon, Aayat no.2}

Baaz log kahte hai kii is aayat kareema ki tasharee main Abdullah Ibn Abbas(radiallahu anhu) farmate hai:“Aur nimaz main apne haath nahi uthate hai”.{Tafseer Ibn Abbas:212}

Baaz log darij bala ibarat ka darij zail tarjama karte hai: “Jo nimazu k andar rafa-ul-yadain nahi karte”.{Majmuaa Resala Okadwi, 1/182, Tahqeeqi Masla Rafa-ul-Yadain:6}

Jawab:
Araz hain kii yeh sari ki sari tafseer muqazib wa modu hai, Ibn Abbas say sabit hi nahi hai. Continue reading “Abdullah Ibn Abbas (radiallahu anhu) Say Mansoob Tafseer Aur Tark-Rafa-ul-Yadain:”

Hazrat Abdullah Ibn Masood (radiallahu anhu) Ki Hadith

1.Hazrat Abdullah Ibn Masood (radiallahu anhu) Ki Hadith:
Matn: Abdullah Ibn Masood (radiallahu anhu) ne farmaya:”Kya main tumhe Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki nimaz na padhau? pas Aap ne nimaz padi aur sirf pahli martaba haath uthaye”.

{Sunan At-Tirmidhi, Hadith no.257, Sunan Abu Dawud, Hadith no.848, Mishkaaq, Hadith no.809}

Tahqeeq:

Ye sanad aur matn k lehaz say da’if hain.

Ist Jawab:

Phele hum matn par baat karte hain kya is hadith ka matn sahih hain?

  Continue reading “Hazrat Abdullah Ibn Masood (radiallahu anhu) Ki Hadith”